1 Jun 2017

Koi bhi Android App ko Whatsapp Par Kaise Bejhe yani Share Kaise Kare

Friends aj hum aapke liye ek aur trick leke aaye hai upar ka title padh ke samaj hi gye honge ki ye aaj ka article kis base par hai aj hum aapko batayenge ki kisi bhi android application ko whatsapp par kaise send kare yani hum kisi dusre person ko apk file yani android app whatsapp ke through kaise send kare , jyadatar logo ko maine dekha hai ki bo android app ko whatsapp par share karne ki kosis karte hai lakin jab bo share option me jaate hai tab whatsapp ka icon aata hi ni aur android app share karne me fail ho jate hai lakin mai aaj aapko ek aasan sa method bataunga jisko apply karke aap aasani se kisi bhi application ko whatsapp par bejh sakte hai Vaise to aap kabhi Android app ko whatsapp par ni bejh sakte kyun ki Iska karan hai ki whatsapp Apk file ko support ni karti hai lakin uska matlab ye ni ki aap ye kam kar hi ni sakte iska bhi ek solution hai bo hai Is apk file ko kisi aur format me change karke bejh sakte jo whatsapp support karta ho jaise txt file ,pdf file etc. Ye sab whatsapp support karta hai to chaliye suru karte hai ki kaise android apk ko dusre format me change karke whatsapp par share kare

Android app ko whatsapp par kaise Share kare

Android app ko whatsapp par share karne ke liye aapke pass apk file hona jaruri hai agar aapke pass android apk file hai to aap usko whatsapp par share kar sakte hai vaise hum isko direct whatsapp par ni bejh sakte kyun ki agar hum Apk file ko whatsapp bejhne ki kosis karenge to option hi ni aayega lakin hum Is apk file ko txt file me convert karke bejh sakte hai jisse koi problem bhi ni hogi aur aasani se send bhi ho jayegi aaaiye jante hai fir kaise kisi android apk file ko txt file me convert karke whatsapp par send kare 

Isme aapko bhut hi choti si simple trick follow karni hai 

Step 1). Sabse pehle aap playstore ek application Install kar le Iska name hai Zarchiever  ye application abhi aage bhut kam aane bala hai 


Step 2). Ab Zarchiever app ko open kariye aur jo bhi apk file yani android application aapko whatsapp par bejhna hai usko Rename karna hai ( Rename ka matlab hai name change karna ). 


Step 3). Ab aap Us apk file ka name change kariye jaha par apk likha hai uski jagah sirf txt type kar dijiye aur save par click kar dijiye 

Bas ab aap apki android apk file txt file me convert ho gyi 

Step 4). Ab aap us txt file  ko tap and hold kariye aur dekhiye option aa jayega whatsapp ka ab jis bhi person ko bo application send karni simply us txt file ko us person ko send kar de 


Step 5). Ab mai man ke chal raha hu ki aapne bo txt file us person tak pahucha di hai jise aap bejhna chate the aur usne bo download bhi kar li hai 
Ab aap us person ko bole ki Zarchiver app ko Install karke us txt file ka name change kar le yani aab uska vapas bahi same name kar de jo pehle 


 Ab rename karke txt ki jagah apk type karke save kar de 
 Bas aab bo aasani se bo us application ko install kar lega 

Aj aap sikh gye hai ki kaise kisi bhi person ko whatsapp ke through android application kaise send kare agar aap Humari site alltechnhindi.com se kuch bhi sikhe hai to aap please Is post ko jayada se jyada social media like facebook , whatsapp par share kare jisse aapki Ek share karne se meri bahut si help ho jayegi

Agar aapko yeh post pasand aaya hume jarur comment karke bataye humari Is site par aur bbi awesome tricks available hai jise padh kar aap aur smart ban sakte hai 

Thanks you All Řëáďêŕš Have a Ņíçè day


Hi Friends My name is Aryan Shukla,I am Indian blogger This is my website and this website is globally available to everyone i love internet, computer,android tips and tricks and this website is giving many tutorials in hindi language

l

0 Comments:

Post a Comment

Best Article in this site

Business Enquiries Or Collab

Contact us. : Alltechnhindi@gmail.com

Insta. : Rider_aryan55

Search This Blog

Advertisement

AdSense add