9 Apr 2016

Android Smartphone Ki RAM memory Kaise Badhaye ( 100% working).

Hello Friends Aj ke Is Article me mai apke liye bhut achi trick leke aya hu mere bhut se readers ne pucha ki Android phone ki RAM kaise Increase karte hai isliye mai usi ke bare me btaunga apko sabse pehle hum jan lete hai RAM hota kya hai




RAM kya hai

Generally Android phone me two types ki memory hoti hai RAM aur ROM apne dekha hoga Android phone ya laptop me RAM kam hoti hai aur ROM jyada agar Android phone me  RAM 1 Gb hai to ROM 8 GB hoti hai ROM ka matlab hota hai Read only memory isko hum Internal memorybi bolte hai aur RAM ka matlab hota hai Random access memory agar humare phone me RAM jyada hoti hai to speed bhut achi hoti hai

RAM increase karne se Fayde kya hai

Agar hum apne phone ki RAM ko Increase kar le to hum usme jyada se jyada app rakh sakte hai jyada se jyada game khel sakte aur hum big game bi chala sakte jaise Gta vicecity , gta sanandreas etc. Aur humara phone bilkul hang ni hoga isliye agar apke phone me kam RAM hai to apko ye trick jarur apnani chaiye ab jan lete hai RAM ko kaise Increase kare

Phone me RAM kaise Increase kare

Niche ke diye hue steps ko dhayan se padkar follow kare :


Step(1): Sabse pehle apko Apna android  phone root karna padega agar apka phone root hai to achi bat hai agar ni hai to ap humari ye post pade isme apko pata chal jayga ki phone root kaise karte hai

Apna Phone kaise root karte hai click now

Step (2):  Ab apko ek Applicaton download karna  jiska nam hai ROEHSOFT  RAM EXPANDER ye app ap playstore store se bi download kar sakte lakin ye playstore pe bilkul paid hai is app ko playstore se download karne ke ye buy karna padega ap niche screenshot me dekh sakte iski kimat kya hai lakin Ap humari site pe aye hai isliye hum apke rupay kaise karch hone de sakte hai ap humari link se download kar lijiye yha apko bilkul free milega


Ram Expander download karne ke liyeYha click kare


Step(3):  Ab Ap sabse pehle setting me jaye security me jaye aur unknown source ko enable kar de uske bad ap ROEHSOFT RAM EXPANDER ko install kare


Step (4): Install karke jaise hi ap usko open karoge Root permission mangega simply usko allow kar dena


Step(5): Ab apko upar dikh rha hoga Swap file usko drag kariye jitni ap ko Ram badhani hai  jitna ap us line ko drag karoge side me ap dekh skate hai suppose muje 332 Mb badhani maine usko drag kiya aur baki sab option ko vaise ka vaise hi rehne dena



Step(6):  Ab apko upar dikh rha hoga Swap active Uspe click kariye apki Swap file create hone lagegi thodi der bad successfully ho jaygi Ab apki phone ki RAM badh chuki hai  then phone ko Restart kar le


Note: Is Ram ko ap setting me jake check na kare kyu ki ye vertual Ram badhti hai isliye show ni hogi lakin apki phone ki speed fast ho jayegi



Agar apko koi dikkat ho rai ho to acomment karke mujse puch sakte hai hamara ye post share kare jisse aur logo ki bhi madad ho sake hamara Facebook page like karna na bhule jisse hamari letest post direct facebook pe milegi 

Hi Friends My name is Aryan Shukla,I am Indian blogger This is my website and this website is globally available to everyone i love internet, computer,android tips and tricks and this website is giving many tutorials in hindi language

l

2 comments:

Best Article in this site

Business Enquiries Or Collab

Contact us. : Alltechnhindi@gmail.com

Insta. : Rider_aryan55

Search This Blog

Advertisement

AdSense add