31 May 2017

Apne Android Phone Me Gta Sanandreas Game Ko Kaise Chalaye( 100% working)

Hello dosto Aj hum aapko batane bale hai ek bhut hi majedaar game ke bare me jisse aap kabhi bore ni honge aur ye game ek dam Real life ki tarah hai yani isme hum bo sab kuch kar sakte hai jo hum Apni real life me karte hai vaise jyadatar log Gta sanandreas game ke bare me jante hi honge aur isko kuch logo ne Computer ya laptop par bhi game khela hoga lakin aj hum aapko ek esa method batayenge jisse aap sabhi Apne android phone me aasani se play kar sakte hai aur koi dikkat bhi ni hogi aap sabhi jante hi hai ye game ek Top Popular game hai aur Aapne isko Internet par bhi bhut bar search kiya hoga lakin jyadatar fake sites hai jo Sanandreas download ki link provide karati hai jab aap us link par click karte honge tab bo koi dusri fake site par redirect kar dete honge aur aap baha se san andreas kabhi download ni kar pate aur maine kuch log ese bhi dekhe hai jo san andreas game ko download to kar lete hai lakin usko android phone me play ni kar paate uska Reason ye hai Is game ka jo app hai bo alag se download karna padta hai aur iskI Obb file bo alag hoti hai jisse aap isko sai jagah fix ni kar paate aur jab aap isko open karte honge to humesha Eror show hota hoga lakin aj hum ek esa tarika batayenge jisse aap aasani se Gta sanandreas game ko download bhi kar loge aur aasani se isko kisi bhi android phone me play kar sakoge to chaliye jante hai kaise chalaye android phone me Gta san andreas


Gta Sanandreas Recommended

Hume yeh bat sabse jaruri hai jan lena chaiye ki Gta sanandreas ko android phone me chalane ke liye kya kya jarurat hai yani hume uske liye apne phone me kya kya chaiye mai aapko bata du agar aapke phone me Space kam hai to aap usko khali kar le kyu Is game ka size bahut bada hai kam se kam apke phone me 3GB Internal memory honi chaiye aur 1GB RAM aagar apke phone me Itni Memory hai to aap is game ko aasani se Run kara payenge 

*. 1GB RAM ( minimum) 
*. 3GB Internal memory ( for samsung phones)

*. 3GB External memory ( For all phones like Lava , micromax etc. )

Agar aapke pass samsung company ka phone hai to apke Internal memory ki jarurat padegi aur agar aapke pass koi aur company ka phone hai jaise lava, micromax, Panasonic, Intex etc. To apko apne phone me Sd card dalna padega minimum 4GB ka jisse aap usko external memory me use kar sako chaliye ab Iski process suru karte hai 

Gta Sanandreas ko android phone me kaise chalaye

Sabse pehle hume Is game apne android phone me download karna hoga aur aap isko playstore se download mat karna kyu ki play store par ye paid game hai aur iski kimat 420 Rupees hai jo ki bhut jyada hai mai aapko ek esi niche link dunga jisse aap free me aasani se game ko download kar sakenge to sabse pehle niche di hui link par click kar ke gta sanandreas ki app aur Obb file dono ko download kar le

( note : yaha aap jaise hi upar link par click karenge to 5 second tak rukna padega aur uske bad aap skip ads par click kar dena ).

Ab aab upar image me dekh sakte is tarike se click karke download karna hai iske app ka size minimum 17MB hoga ya isse jyada 
Aur iski ZIP file ka size 1800 MB se tak ya isse jyada simply aap usko download kar le
Step 1). Ab mai man ke chal raha hu ki aapne aapne Gta sanandreas ki ZIP file apne phone me download kar li hai aur ab usko extract karna hai yani us zip file ko open karna hai uske liye aap niche di hui link par ek application download kijiye jisse aap aasani se us ZIP file ko open kar sakoge 



Step 2). Ab aap Gta Sanandreas app ko Install kariye apne android phone me install hone ke bad aap Zarchiever app ko open kariye

Step 3). Ab Zarchiever ko app ko open karne ke bad aap GtA sanandreas ki ZIP file open kare aur ab usme aapko ek Folder milega jiska name hoga com.rockstargames.gtasa aur Is folder  ko pura copy ya cut kar le

Step 4). Aur ab aap copy kiye hue com.rockstargames.gtasa folder ko  device memory me jaiye aur waha android me jaiye aur waha par ek obb name folder banaiye aur ud obb folder ke andar is folder ko paste kar de
( yaha dhyan dene bali baat agar aapka phone Samsung company ka hai to device memory me jaiye aur agar koi dusri company ka phone hai jaise lava , micromax etc. To aapko usme Sd card memory me jana hai aur waha Android me jake obb folder ko paste kar dena hai ). 


Step 5). Ab aapko 2 ya 3 minute Intzar karna karna padega kyu ki obb file ko copy hone me time lagega  bas ab mai man ke ke chal raha hu ki obb file successfully paste ho gyi 

Step 6). Ab aap vapas Sanandreas app ko open kariye uske bad ek esa option ayega jisme aapko Offline par click karna hai bas  aapka game start ho gya


Step 7). Aur ab aap new game par click kare aur game ke sath enjoy kare 

Aj humne aapko bataya ki Gta sanandreas game ko kaise chalye apne android phone me vaise is game ki tarah aur bhi game hai jaise Gta vice city , Gta liberty city , inme se mai in dono game ke bare me pehle se hi bata chuka hu kaise gta vicecity aur liberty city ko android phone me chalaye aur abhi tak ka jo sabse best Gta me game hai uska name hai GTA 5 ye game bahut hi hi acha hai aur iske graphics bhut ache hai mai jald hi is GTA 5 ke bare me bhi bataunga

Agar aapko abhi bhi GTA sanandreas game ko leke koi dikkat aa rai hai ya android phone se sai tarike se work ni kar raha hai to aap humari site par comment karke puch sakte hai aur agar aapko humari yeh post pasand ayi to please isko jyada se jyada apne friends aur social media par share kare 

Thank you friends have a Ńįçë Day

Hi Friends My name is Aryan Shukla,I am Indian blogger This is my website and this website is globally available to everyone i love internet, computer,android tips and tricks and this website is giving many tutorials in hindi language

l

1 comment:

Best Article in this site

Business Enquiries Or Collab

Contact us. : Alltechnhindi@gmail.com

Insta. : Rider_aryan55

Search This Blog

Advertisement

AdSense add