30 Apr 2016

Smartphone ko kaise root kare 2nd method



Dosto aj hum bat karenge ki smartphone yani Android phone  ko kaise root kare mai isse pehle bi isi topic pe post likh chuka hu lakin usme kuch logo ke phone root ho rae the aur kuch ke  ni lakin Aj ap is post ke jariye mere sare readers apne android phone ko aasani se root kar sakenge mai aj apko yha do method btaunga jisse apko  ab koi dikkat ni ayegi

Phone Rooting kya hai 


Mai ye pehle post me bi bata chuka hu ki root ka matlab hota hai Operating system ke had tak pahuchna yani hum apne android ke sare system pe control bana sake aur usme har tarah ki changing karna jaisa apne kabhi socha ni hoga us had tak changing karna  apne dekha hoga playstore pe jyadatar application Root ke liye hi bane hote isliye hume apna android phone ko root karna bhut jaruri hai aur root karne ke Fayde aur nuksan kya hai isko janne ke liya ap humari pichli root bali post padhe click here for Read post 

Phone Root karne se pehle kya kya karna chaiye

*. Apne phone ki battery ko 70 percent se upar charge hona chaiye 

*.Apne phone me unknown source ko Enable kar lena chaiye jisse ap apne phone me Application ko install kar sake uske liye ap setting me jaye security me jaye aur unknown source ke samne tick kar de

Must Read :



Ist Method: 

Computer ke dwara phone ko root kaise root kare

Mai apko bata du computer ke dwara root karne se jyadatar phone root ho jate hai Agar apka phone mobile se root na ho rha ho to ap is method se jarur try kare

Sabse pehle ap apne phone ko computer se connect kar le

Computer se phone connect karne ke liye USB debugging ko Enable kar le jisse phone aasani se computer me connect ho jaye


*. Agar apka Android OS version 2.3 ya isse jyada hai to ap setting me jake Application  me jaiye development  me jake USB debugging  par tick kar de 

*. Agar apka Android OS version 4.2 ya isse jyada ho tab apko Developer option enable karna padega uske liye sabse pehle setting  me jaye aboutphone  me jaye uske bad sabse niche option hoga buildnumber us par kam se kam 10 bar click karna apka developer option enable ho jayega fir setting me vapas aana aur developer me jana aur USB debugging ke samne tick karke enable kar le 

Step(1): sabse pehle apko apne computer me Root genius nam ka software download karna hoga ap niche di hui button se download kar sakte hai

Download Rootgenius for PC

Step(2): Download hone ke bad is Root genius software ko install kariye Uske bad ap ise open kare 

Step(3): Ab ap Android phone ko  USB cable ki madad se computer me connect kariye Ab jaise hi apka phone computer me sai se connect ho jayega Root genius ki homescreen par apka phone show hone lagega 

Step (4): Is ke bad ap dekh engender ki Root genius me ek Root ki button hogi ap uspe click kar dijiye 

Step (5): Ab apka phone root hona start ho jayega aur dekhte hi dekhte apka phone root ho jayega aur apke phone me ek Kinguser ka application aur install ho jayega isse ye pata chalta hai ki apka phone root ho chuka hai

(2): Second Method .

Zip file ke dwara phone ko Root kare

Agar ye upar bala method work na kare to ap is method ko bhi try kar sakte 

Step1): sabse pehle apko ek Zip file download karni hogi niche di hui button par click karke download kar lijiye
Step2): Ab apko Zip file SD card me move karni hai

Step3): Agar Apko RecoveryMode ka option nikalna hai Volume UP  + power button + homebutton  in tino ko ek sath dabaye rakhiye thodi der bad Apka phone Switch off ho Jayega aur uske thodi der bad RecoveryMode ka option bi aa jayega 

Note: power button iska matlab jisse phone off karte , home button jo Samsung ke phone ke bich me hoti hai nd Volume up button jisse music ki Awaj badhate hai in tino ko tab tak dabaye rehna hai jab tak RecoveryMode ka option nikal ni aata 

Step4): Ab ap volume down button ko press karke niche aaiye aur jha pe "apply update from sdcard " yha aaiye uske bad power ki button press kariye ap apne jo Zip file download ki thi usko select karke power ki button dabaiye apka phone root hona start ho jayega aur uske bad ap apna reboot kar le now Root your phone

Note: yha pe RecoveryMode me touch kam ni karta hai isliye volume up,down ka istmal kariyega nd enter ke liye power button ka use kariye

Maine yha apko do method bataye hai aur Ek method pehle bhi bata chuka Ap in tino method se try kariye apka phone kisi na kisi method se roo ho  hi jayega Ab apki bari hai friends ki apne mere site Alltechnhindi ki madad se kitna sikha hai Agar ap meri help karna chate hai to ap is post ko share kare jisse aur logo ki help hogi aur mujhe khusi milegi kyu ki dusro ki madad karne me jo khusi milti hai uski koi kimat ni

Isey bhi padhe:




Agar apko abi bhi koi dikkat aa rai ho to Ap mujse comment karke puch sakte Aur humara facebook page jarur like kare jisse humare new article turant facebook pe mile 






22 Mar 2016

Android phone ko root kaise kare without PC 100 percent working trick

HELLO  Friends Aj hm apko Is Article me batayengy apne Android phone ko root kaise kare kya hai maine dekha hai jyadatar log apne phone ko root ni kar pate hai kyu ki jitne bhi tarike bataye jate hai internet par bo kisi particular android model me to work karte hai but ye jaruri nhi hai ki bo method sabhi phone me supported ho chaliye sabsy pehly jan lete hai phone root kya hai android phone me kuch limits hoti hai jisse hm system tak ni pahuch sakte usi system tak pahuchne k liye hum apna phone ko root karte hai aur agar hm uski system tak apni pahuch bana le to hm bahut kuch kar sakte hai  jab hamara phone root ho jata hai to bo limits ko break kr deta hai aur hum apne phone me system tk pahuch jate hai yani hm apne phone me RAM increase kr skte hai aur bi bhut kuch kar skte hai aj kal jyadatar application rooted phone ke liye hote hai isliye hmara phone root hona jaruri hai

Root karne se Fayde

* Root karne se sabse acha fayada hota hai ki hum apne phone saved hue wifi ka pasward dekh sakte apne 
   phone ki RAM badha skty hai jisse hamara phone hang  ni hoga aur hamare phone me ache se game khel skte hai kam RAM hone ki bajah se  hamare phone me game ya koi apps sai se support ni karta , root karne se hum wifi bhi hack kar sakte


 * Root karne se hm apne phone ki internal memory badha skte hai pehly jo phone aate the unme bhut km internal memory ki bajah se usme hm big game ni khel skte jaise gta vicecity, asphalt8 aur bi bhut se game lakin root karne k bad ye kam bi mumkin hai

* sabse achi bat to ye hai root karne k bad hm apne phone ka OS version bi change kar skty hai yani hm apne phone ko manually update kar skte kuch phone hai jinme updating ni aati hai jaise galaxy core2,galaxy coreprime, inko hm manually update kar sakte  apne kitkat version se lolipop version me change kar sakte hai


 Isey bi padhe

mcent se paise kaise kamaye

Ek mobile me do whatsapp chalaye

Root karne se Nuksan


* Android phone ko root karne k bad apke apne phone ki warranty chali jayegi kyu ki kuch mobile company rooting ki permision ni deti aur baki koi bada nuksan ni hota kyu ki maine apni life me bhut se phone root kiye hai koi  problem ni hui muje root karne me aur na hi phone me 


Kingroot app se phone root kare


kingroot ki help se sbhi phone root ho jate hai ye app bi jyadatar phone model me support krta hai kyu ki maine jyada tar isi software ki help se phone root kiye hai ap bi try kar lijiye step by step samajhte hai

step(*) sabse pehle kingroot app download karna hoga niche di hui link se ap download kar sakty hai

step(*) ab apne mobile data ko on kare fir kingroot app ko open kare

step(*) jaise hi ap open karoge apke phone par ek bada sa option dikhega Root your phone simply uspe click kariye apka phone root hona start ho jayga 

step(*) thodi der bad apka phone successfully root ho jayga ab bas ap apna phone restart kariye apka phone root ho gya 


Agar apka phone kingroot app se na root ho to ap in software ko bi try kar le 

 


framaroot ko download karne ke liye yha click kare download farmaroot


Z4Root ko download karne ke liye yha click kare download Z4root


Towel root download karne ke liye yha click kare download towelroot



Agar ye app yha se na download ho to ap inhe google me search karke download kar le 

Agar apke phones me ye method work na kare to ap dusri post padhiye usse apka phone root ho jayegaClick here for Read post



I hope apko ye post achi lagi  hogi agar apka koi internet se related sabal ho to ap hamare comment box me comment kare hm apke sabal ka reply jarur dengy  hamara fb page like karna na bhule hamari ye post dusro tak pahuchane ke liye share kare

Best Article in this site

Business Enquiries Or Collab

Contact us. : Alltechnhindi@gmail.com

Insta. : Rider_aryan55

Search This Blog

Advertisement

AdSense add