Dosto aj hum bat karenge ki smartphone yani Android phone ko kaise root kare mai isse pehle bi isi topic pe post likh chuka hu lakin usme kuch logo ke phone root ho rae the aur kuch ke ni lakin Aj ap is post ke jariye mere sare readers apne android phone ko aasani se root kar sakenge mai aj apko yha do method btaunga jisse apko ab koi dikkat ni ayegi
Phone Rooting kya hai
Mai ye pehle post me bi bata chuka hu ki root ka matlab hota hai Operating system ke had tak pahuchna yani hum apne android ke sare system pe control bana sake aur usme har tarah ki changing karna jaisa apne kabhi socha ni hoga us had tak changing karna apne dekha hoga playstore pe jyadatar application Root ke liye hi bane hote isliye hume apna android phone ko root karna bhut jaruri hai aur root karne ke Fayde aur nuksan kya hai isko janne ke liya ap humari pichli root bali post padhe click here for Read post
Phone Root karne se pehle kya kya karna chaiye
*. Apne phone ki battery ko 70 percent se upar charge hona chaiye
*.Apne phone me unknown source ko Enable kar lena chaiye jisse ap apne phone me Application ko install kar sake uske liye ap setting me jaye security me jaye aur unknown source ke samne tick kar de
Must Read :
Ist Method:
Computer ke dwara phone ko root kaise root kare
Mai apko bata du computer ke dwara root karne se jyadatar phone root ho jate hai Agar apka phone mobile se root na ho rha ho to ap is method se jarur try kare
Sabse pehle ap apne phone ko computer se connect kar le
Computer se phone connect karne ke liye USB debugging ko Enable kar le jisse phone aasani se computer me connect ho jaye
*. Agar apka Android OS version 2.3 ya isse jyada hai to ap setting me jake Application me jaiye development me jake USB debugging par tick kar de
*. Agar apka Android OS version 4.2 ya isse jyada ho tab apko Developer option enable karna padega uske liye sabse pehle setting me jaye aboutphone me jaye uske bad sabse niche option hoga buildnumber us par kam se kam 10 bar click karna apka developer option enable ho jayega fir setting me vapas aana aur developer me jana aur USB debugging ke samne tick karke enable kar le
Step(1): sabse pehle apko apne computer me Root genius nam ka software download karna hoga ap niche di hui button se download kar sakte hai
Download Rootgenius for PC
Download Rootgenius for PC
Step(2): Download hone ke bad is Root genius software ko install kariye Uske bad ap ise open kare
Step(3): Ab ap Android phone ko USB cable ki madad se computer me connect kariye Ab jaise hi apka phone computer me sai se connect ho jayega Root genius ki homescreen par apka phone show hone lagega
Step (4): Is ke bad ap dekh engender ki Root genius me ek Root ki button hogi ap uspe click kar dijiye
Step (5): Ab apka phone root hona start ho jayega aur dekhte hi dekhte apka phone root ho jayega aur apke phone me ek Kinguser ka application aur install ho jayega isse ye pata chalta hai ki apka phone root ho chuka hai
(2): Second Method .
Zip file ke dwara phone ko Root kare
Agar ye upar bala method work na kare to ap is method ko bhi try kar sakte
Step1): sabse pehle apko ek Zip file download karni hogi niche di hui button par click karke download kar lijiye
Step2): Ab apko Zip file SD card me move karni hai
Step3): Agar Apko RecoveryMode ka option nikalna hai Volume UP + power button + homebutton in tino ko ek sath dabaye rakhiye thodi der bad Apka phone Switch off ho Jayega aur uske thodi der bad RecoveryMode ka option bi aa jayega
Note: power button iska matlab jisse phone off karte , home button jo Samsung ke phone ke bich me hoti hai nd Volume up button jisse music ki Awaj badhate hai in tino ko tab tak dabaye rehna hai jab tak RecoveryMode ka option nikal ni aata
Step4): Ab ap volume down button ko press karke niche aaiye aur jha pe "apply update from sdcard " yha aaiye uske bad power ki button press kariye ap apne jo Zip file download ki thi usko select karke power ki button dabaiye apka phone root hona start ho jayega aur uske bad ap apna reboot kar le now Root your phone
Note: yha pe RecoveryMode me touch kam ni karta hai isliye volume up,down ka istmal kariyega nd enter ke liye power button ka use kariye
Maine yha apko do method bataye hai aur Ek method pehle bhi bata chuka Ap in tino method se try kariye apka phone kisi na kisi method se roo ho hi jayega Ab apki bari hai friends ki apne mere site Alltechnhindi ki madad se kitna sikha hai Agar ap meri help karna chate hai to ap is post ko share kare jisse aur logo ki help hogi aur mujhe khusi milegi kyu ki dusro ki madad karne me jo khusi milti hai uski koi kimat ni
Note: yha pe RecoveryMode me touch kam ni karta hai isliye volume up,down ka istmal kariyega nd enter ke liye power button ka use kariye
Maine yha apko do method bataye hai aur Ek method pehle bhi bata chuka Ap in tino method se try kariye apka phone kisi na kisi method se roo ho hi jayega Ab apki bari hai friends ki apne mere site Alltechnhindi ki madad se kitna sikha hai Agar ap meri help karna chate hai to ap is post ko share kare jisse aur logo ki help hogi aur mujhe khusi milegi kyu ki dusro ki madad karne me jo khusi milti hai uski koi kimat ni
Isey bhi padhe:
Agar apko abi bhi koi dikkat aa rai ho to Ap mujse comment karke puch sakte Aur humara facebook page jarur like kare jisse humare new article turant facebook pe mile
Very good information dear but bahut jamela hai dear koi simple nahi hai kya time bahut leg jarga issme to
ReplyDeleteAp computer bale method ko try kariye jo is post me bataya is method se har companies ke phone root ho jate hai
ReplyDeleteGalaxy A5. 2nd J7 hai its ok mein tray karta hun kafi achha likhte ho dear very good expiriance thanks
ReplyDelete