Aj ke Is article me mai apko bataunga ki apne mobile me kisi bi tarike ke lock ko kaise unlock karte vaise Aj kal har dusre aadmi ke pas android phone hora hai aur jab kabhi kabhi phone me pattern lock bhul jate ya Pin lock ka Pin no.bhul jate to bhut dikkat hoti aur fir hum phone care pe jate hai ya kisi mobile shop pe jate hai aur bo 250 rupees leta hai lock todne ke agar hum friends ye kam hum ghar pe hi kar le aur ek bi paisa na karch karke fir to ye bhut achi bat hui na isliye mai ye post me apko detail me bataunga jisse ap apne phone ko full hard reset karke phone ko unlock kar sakte hai
Pattern aur Pin lock ko kaise unlock kare
Agar apka Android phone Samsung company ka hai to is Step ko follow kare
Step1): sabse pehle Apko Recovery Mode ka option nikalna hai uske liye ap
Volume Up+power button+home button in tino ko ek sath dabana hai aur thodi hi der me RecoveryMode ka option nikal aayega
VolumeUp button ka matlab hai jisse ap phone kI Awaj ko badhate hai aur power button ka matlab hai jisse ap phone ko switch off karte hai Aur home button ka matlab hai Jo phone ke bicho bich me hoti hai In tino ko ek sath tab tak dabana hai jab tak RecoveryMode ka option ni nikal aata
Step2): Ab ap niche image Me dekhiye jha wipe data reset likha hai Volume down button ko press karke niche aaiye "wipe data reset " aur is option ko select karke power ki button dabaiye fir delete user data aur apka phone fully hardly reset ho jayega aur pattern aur Pin bi unlock ho jaynge ab ap apne phone ko reboot kar lijiye
Agar apka phone Lava,micromax ya other company ka hai to uske liye
Isme bi bas same process karni hai lakin bhut se log in companies ke phone me RecoveryMode ka option ni nikal pate hai uske liye ap niche diye hue steps ko dhayan se padkar follow kare
Step*): Sabse pehle Apna phone ko switch off kare
Step*): Ab ap power button ko dabaye rahiye aur aur volume Up button volume down in buttons ko bar bar dabate rahiye jab tak RecoveryMode ka option ni nikal aata
Step*): Ap dekhenge niche recoverymode ka option aa jayega aur jha wipe data factory reset is option se volume down ko press karke is option pe aaiye aur yha power button ko daba ke select kariye aur uske bad "delete all user data" is option ko select kariye apka phone reset hone lagega
Step*): Ab phone ko Reboot kar lijiye aur apka phone ka pattern lock unlock ho gya hoga
Must Read :
Ap mere bataye hue tariko se kuch bi sikhe hai to ap please is post ko share kare jisse aur logo ki bhi help ho sake
Agar apko abi bhi koi dikkat aa rai ho to ap mujse comment karke puch sakte aur humara facebook page jarur like kare jisse humare new article turant apko facebook pe mile
0 Comments:
Post a Comment