15 May 2016

Android phone ki Internal memory ko badhaye

Aj ka ye Article apke liye bhut useful rahega kyu ki mai aj apko ek ese tarike ke bare me bataunga jo jyadatar sites pe apko ni milega aj mai apko Internal memory badhana sikhaunga jisse ap kisi bhi phones ki internal memory ko Increase kar sakte hai apne dekha hoga jo kuch years pehle phones aate the unki internal memory bhut kam hoti thi jisse bo apne phones me koi bhi apps sai se ni use kar pate hai aur jyadatar unka phone hang hi hota hai chaye bo apps bhut kam use kare uska reason ye hota hai unke phone me internal memory kam hone ke karan phone hang hota hai aj hum sari problem ko dur karne ki kosis karenge is Article se aur ye article ap isko dhayan se aur ek ek Step ko follow kare


Internal memory Increase karne se fayde

Internal memory badhane se to sbse acha fayda to yeh hai  apka phone bilkul hang ni hoga kyu ki maine apne bhut se friends ke phone me ye trick use karke dekhi hai unka pehle phone hang hota tha lakin ab unka phone bhut smoothly chalta hai aur isme sabse achi bat to ye hai ap isme big game aur big apps aaram se install kar sakte jisse koi problem ni ayegi aur ye Samsung user ke liye bhut helpful hai kyu ki Samsung jo bhi apps install hote bo sab internal memory me hi store hote hai unko memory card me fully move ni kar sakte hai Mai ab isme kch Fayde bataye hai Jisse ab ap samaj ho gye honge ki ye trick kitni useful hai to ab hume ye bhi jan lena chaiye ki is trick ko use karne ke liye kin kin chijo jarurat padegi

Phone ki Internal memory badhane ke liye kya kya chaiye 

*. Is trick ko use karne ke liye hume ek computer ki jarurat padegi bina computer ke ye trick work ni karegi phones me
*. Isme apko jis bhi phone ki internal memory badhana chate hai bo phoneroot hona chaiye agar apka phone root ni hai to apko phone root karna padega unrooted phone me ye trick work ni karega 
Agar ap ni jante root kaise kare aur ye phone root kya hota hai uske liye maine yha do post likhi hai ap niche di hui button se click karke dono post ko dhayan se padhiye Read post

*. Ek memorycard reader ( kisi bhi mobile shop pe milta wha jake kharid lijiye )

*. Ek memory card class 4 ka aur bo kam se kam 2Gb se upar hona chaiye  

*. Aur isme apko do software chaiye jo ek computer ke liye aur ek android phone ke liye yha dono ke nam de rha hu 
1). Mini tool wizard  (computer software ) 
1). Link2Sd  (Android application ) 

*. Last me apka Android phone jo kam se kam 70 percent charge hona chaiye 

Internal memory kaise badhaye Step by step

Niche ke steps ko dhayan se padkar hi follow kare aur jitna bataya jaye sirf utna hi kare : 

Step 1). Sabse pehle apko ek software install karna hoga jisko ap apne computer me karenge uska name hai  'Minitool wizard ' niche di hui button se download kar sakte hai

Step 2). Ab ek memory card ko apne computer se connect kariye  memory cardreader ki help se yha apko sirf aur sirf card reader ki hi help se connect karna

Step 3). Ab apko Minitool wizard ko open karna hai jaise hi ap open  screen me sari drive show hone lagegi aur sath me apki memory card bhi show hone lagega jha apki memory card show ho rai hai wha ap Right click karna fir niche ek option ayega delete uspe click kar dena ab apka memory card bilkul blank ho gya hai 

Step 4). Ab apke memory card me unallocated space show karne lagega ab unallocated space par Right click karna aur fir ek option ayega create uspe click kar dena

Step 5). Ab apko create as section me jana hai aur wha primary set kar dena hai aur file system me FAT32 bala option select karna hai

Note :  ( yha pe apko yad rakhna hai Agar ap 2GB se kam ka memory card use kar rae hai to FAT bala option select karna hai Mai yha 2Gb se jyada ka memory card use kar rha hu ) 

Step 6). Ab apko partion size me space dalni hogi jitni ap internal memory badhana chate hai utni space Daliye aur Ok par click kar de 

Step 7). Ab apko fir se unallocated space par  fir right click karna aur fir se create kar dena 

Step 8). Ab create as option me primary select karna aur , File system me Ex2 select kar dena hai aur uske bad Ok par click kar dena


Step 9). Ab Minitool wizard me upar kuch option honge aur wha ek option apply ka hoga simply apko apply par click kar dena hai ab ek aur screen khulegi simply uspe bhi yes par click kar dena 

Step 10). Ab apko thoda wait karna padega uski process complete hone tak aur jaise hi process complete ho jayegi ek message milega " apply all the pending changes successfully " ispe apko Ok par click kar dena aur apne computer se memory card ko Bahar nikal dijiye 


Step 11). Ab ap apna android phone ko switch off kare aur usme memory card ko lagaye 

Note: yha apko android phone Switch off karke hi memory card lagana hai jitna bataya jaye sirf utna hi kariye 

Step 12).  Ap apko android phone me ek application download karna hoga jiska name hai Link2Sd niche di hui button se download kar lijiye

Download Link2Sd

Step 13). Ab Link2Sd ko phone me install kare use bad isko open kariye jaise hi open karenge ye root permission mangega isko allow kar dena 

Step 14). Iske bad ek option khul ke ayega usme apko Ex2 pe select kar ke Ok par click kar dena 


Step 15). Iske bad ek aur option ayega jisme apse kahega ki is phone ko Reboot kariye yani Restart kariye simply apko  Reboot button par click kar dena hai apka phone restart hone lagega 

Step 16). Ab jaise hi apka phone  reboot yani Restart ho jaye fir ap Link2Sd ko open karna hai 

Step 17). Ab jaise hi open karenge ek filter ka icon hoga uspe click kariye uske bad kai option ayenge usme ap on Internal choose kariye aur jo bhi apke internal memory me app honge vo show hone lagenge 


Step 18). In sab ke bad ap option key bale icon pe click karna hai aur wha pe multi-select option par click kar dena 

Step 19). Iske bad firse option key bale icon pe click kariye aur ab create link bale option par click kar dijiye 

Step 20). In sab ke bad fir ek screen khul ke ayegi Jisme ap ke tin option honge kuch is tarah niche screenshot me dekhiye un tino option ke samne tick kar dijiye aur Ok par click kar dijiye


Step 21). Ab apki link create hone lagegi isme thoda samay lag sakta hai kam se kam 4 ya 5 minutes uske bad jaise hi process complete ho jaye ek option ayega usme ap Ok par click kar dijiye 

Step 22). Ab apka bas ek last kam aur bacha hai usko aur complete karna uske liye option me jaye aur jha auto link likha uske samne click kar de bas apka pura kam ho gya ab aapne android phone ki Internal memory ko Increase kar liya hai ab jo bhi app ap install karenge bo apne ap isi partion me jayega yani apne ap SD card me move ho jayega 

Now phone ki internal memory badh gayi hai Agar ap chae to Link2Sd ko open karke storage check kar sakte hai 

Note: yha pe apko yad rakhna hai ab apko apne phone se memory card ko bahr ni nikalna hai Agar apne esa kiya to apke new partion me jitne bhi apps move hue hai bo sare currept ho jayengek

Read also:


*.Ek esa application jisse hazaro rupees kamaye per month


Agar apko abhi bhi koi dikkat aa rai hai to ap comment karke mujse puch sakte hai aur I hope agar apne  ek ek Steps ko dhayan se follow kiya hoga to apne internal memory increase kar li hogi fir bhi koi dikkat ho mujse puch sakte hai Agar ap humari di hui knowledge se kuch bhi sikhe hai to ap meri site share kare jisse hum apke aur bhadiya se badhiya tricks la a sake

Hi Friends My name is Aryan Shukla,I am Indian blogger This is my website and this website is globally available to everyone i love internet, computer,android tips and tricks and this website is giving many tutorials in hindi language

l

8 comments:

  1. admin u have written all steps nicely so anyone can understand easily. good work..

    ReplyDelete
  2. Is phone is root to extend internal memory

    ReplyDelete
  3. Is root is needed to extend internal memory

    ReplyDelete
  4. yes Root is needed ,
    If you want Increase internal memory of own android phone then needed rooted android phone

    ReplyDelete
  5. kya aap hme fb par contact kar skte hai
    mujhe aapse bhut kuch puchna hai plzz mna mat kijiyega my fb username vikash.singhania.735 and my gmail vikashsingh8019@gmail.com mai aapke site ko always read karta hu mai aapka fan hogya sir

    ReplyDelete
  6. Yes bilkul kar sakte ho ap mere facebook page par direct message send kariye

    ReplyDelete
  7. Champcash Pakistan Main Bhi Chalta Hy Kya Or To Or Paise Bhi Kama Sakte Hen Kya

    ReplyDelete

Best Article in this site

Business Enquiries Or Collab

Contact us. : Alltechnhindi@gmail.com

Insta. : Rider_aryan55

Search This Blog

Advertisement

AdSense add