14 Jun 2016

Free me SMS kaise kare kisi bhi phone no. par

Hello dosto mai aj bhut dino bad ap logo ke liye fir se ek bhut hi bhadiya jankari leke aya hu jo aamtaur par mere hisab se sabhi  logo ke liye helpful hai aj kal vaise bhi bhut Telecom server campanies ne bhut mehngai kar di har chij aj kal mehengi hai yha tak ki Internet data se leker call rates aur SMS pack ke bhi Rupay badha diye isi bajah se mai apke liye ye trick leke aya hu jisse ap SMS pack na dalwa ke balki SMs ki free suvidha ka bhi fayda le sake suppose man lo agar hum Kisi ke bhi phone number par fres SMS bejhe to ye to ek magical trick hui na  mai yha apko ek esi trick bataunga jisko use karke ap bilkul kisi person ke phone number Par bilkul free me SMS kar sakte isme apke phone number ss koi paisa ni katega aur na hi iske liye apko koi pack activate karana padega lakin usse pehle apko ye bhi janna jruri hai free sms karne ke liye apko kya kya jarurat padegi mai yha niche sab bata rha hu isko dhayan se padhkar follow kare


Free SMS karne ke kiye kin chijo ki jarurat padegi

Ye bat bhi apke liye janna bhut jaruri hai ki hume Free sms karne se pehle kin chijo ki jarurat hai isme apko Android phone , Internet connection  aur way2 sms app ki jarurat padegi ye tin chije apke pas honi chaiye tabhi ap free sms kar sakte hai 
1. Android phone ( jo aj kal sabhi ke pas hai) 
2. Internet connection ( yani apka mobile data on hona chaiye ) 
3. Way2sms ( ye ek application mai apko iski niche link dunga waha se download kar sakte hai) 

Aur isme sabse achi bat to ye hai isme apko phone root karne ki jarurat ni padegi ye unrooted phones me smoothly work karegi to chaliye ab ye bhi jan le isko kaise use kare

Free sms kaise kare kisi bhi no. Pe

Yha mai kuch steps bta rha hu isko dhyan se padhkar follow kare: 

Step 1). Sabse pehle apko ek android application download karna hoga way2sms is name ka hai isko niche di hui link se download kar sakte hai



Step 2). Ab ap sabse pehle setting me jake unknown source ko enable kar de uske liye ye kare 'ye post ap Alltechnhindi.com par padh rae hai'
Setting me jao security me jao aur unknown source ke samne tick kar do ab apka unknown source enable ho gya koi bhi app ya game install kar sakte ho ab

Step 3). Ab way2sms app ko install kariye

Step 4) install hone ke bad isko open kariye jaise hi ap isko open karenge ek esi screen khul kar ayegi isme apko bhut sare ads show honge inko ap ignore kar dijiye fir language select karne ko kahega ap isme jo bhi apni pasand ki language select kariye

videos ke size ko kaise chota kare

Step 5). Language select karne ke bad upar ek icon hoga us par click kariye ( niche image me dekh sakte hai icon ko)



Step 6). Ab apko yha apna phone no. Verify karana hai simply diye hue box me apna no. Daliye aur submit par click kariye thodi der bad mobile number oar verification code ayega bi apne ap verify ho jayega
Ab apka way2sms par successfully account ban chuka hai

Step 7). Ab agar ap kisi bhi no. Par sms karna chate hai to upar bich bale icon par click kariye


Jaise hi click karenge ek esi screen khul kar ayegi isme apko bo no. Dalna hai jise ap sms karna chate hai aur niche sms type kariye aur send ke option par click kar dijiye
Apka message us no. Par pahuch jayega


Android phone me internet data vapas kaise laye



Agar apko abhi bhi koi dikkat ho rai ho to ap mujse comment karke puch sakte hai aur humari site par aur bhi bhadiya bhadiya post hai please use bhi read kare


Hi Friends My name is Aryan Shukla,I am Indian blogger This is my website and this website is globally available to everyone i love internet, computer,android tips and tricks and this website is giving many tutorials in hindi language

l

25 comments:

  1. aryan please tell me aapka adsense kitne dino baad approve hua hai aur aapke daily pageview kitne ho jate hai

    ReplyDelete
  2. Bro mere adsense ko approve hone me bhut din lage hai laghbagh 10 days aur mere daily pageviews 400 ke aaspas hote hai

    ReplyDelete
  3. Mera ek sawal hey stumble upon pr aapny page ksy bana detail mey batao

    ReplyDelete
  4. mujhe to aaj 24 din ho gaye bro but abhi tak nahi hua koi reply hi nahi aa raha hai.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Vivek ek kam karo apna adsense account delet kar ke firse apply karo Esa karne se adsense approve ho sakta hai

      Delete
  5. aur blogger me comment approval system kaise chalu kiya hai aapne

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ye meri template me pehle se hi hai isme maine kch ni kiya apne ap hota ha

      Delete
  6. Kavya maine bo html coding se banaya hai uske liye apko blogging ki html coding aani chaiye

    ReplyDelete
  7. delete kar ke bhi kar chuka bro but koi fark nai pada. aapne kya kiya tha ki aapka ho gaya.

    ReplyDelete
  8. Maine to delet karke dubara se apply kiya tha fir 3 days me aaprove ho gya

    ReplyDelete
  9. dusre email se kige the ya usi email se

    ReplyDelete
  10. Aap ka social network pe kitana share karte hai or aspko Google ssec
    Kitne visitors aata hai

    ReplyDelete
  11. Aap social media pe kitna shar karte hai or goog se aapka kitna
    Visitors aata hai dayli

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bro mai social media par sirf post share karta hu aur mere present me 400 pageviews ke aas pas ho rae

      Delete
  12. आपका ब्लॉग मुझे अच्छा लगा। अपनी विजिटिंग को बढ़ाओ। मने देखा है आप अपनी पोस्ट को सही की वर्ड फोकस नही कर रहे ह।
    मैं बी ब्लॉगर हूँ मेरे रोजाना 10000 pageviews हैं ।

    मेहनत करते रहो। best of luck Aryan.

    ReplyDelete
  13. Promod ji thank you so much aur mai apki di hui advice ko jarur follow karunga

    ReplyDelete
  14. Aryan Shukla ji mera google adsense account hosted hai use full aapuruv kaise karu kya aap bata sakate hai kya.

    ReplyDelete
  15. Ap adsense ke ads code apni blog me add karo uske bad hi full approve hoga

    ReplyDelete
  16. full approve hone me kitana time lagata hai. or website ko site manegment submit karna padta hai kya? blog par ek code lagakar google adsense approve ho sakta hai kya.

    ReplyDelete
  17. Agar ap blogspot use kar rae hai to approve hone me time lagta hai ni hosted account me esa ni karna padta

    ReplyDelete
  18. Way2sms mai 4 saal se use kar rha hu aur way2sms ki services bahut achhi hai lekin aap ne yaha par ek chij miss kar di wo ye ki ish se aap as a recharge money bhi earn kar sakte hai .
    Dusri baat ye ke aap ke template mein kuchh codes out show horahe hai unhe aap fix kare

    ReplyDelete
  19. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  20. Rakesh ji very very thank you and mai jaldi hi apni template ko thik karunga

    ReplyDelete
  21. Any way to send sms free to Qatar

    ReplyDelete

Best Article in this site

Business Enquiries Or Collab

Contact us. : Alltechnhindi@gmail.com

Insta. : Rider_aryan55

Search This Blog

Advertisement

AdSense add