31 May 2016

Smartphone ke sensors ke bare me jankari hindi me

Hello All my readers muje pata hai ap log humari new post ka wait kar rae honge pichle kuch Dino se kuch problems ki bajah se post ni likh paya hu aj mai jo post likh rha hu usme hum apko sensors ki jankari denge jo smartphone,I pad, I phone etc. Me lage hote hai aj mai un sabhi sensors ke bare me batayenge to ab jan le sensors hote kya hai sensors ka simple matlab hai jaise man lo apke pas God ne eye dekhne ke liye, Ear sunne ke liye  ,Tongue taste ke liye,etc. Jisse ap kisi bhi chij ko feel kar sakte hai ye humari body ke sensor hote hai jo hume god ne diye hai usi tarah se smartphone me bhi alag alag prakar ke sensor lage hote hai jisse hum jo chaye bo kar kar sakte hai

Sensors kya hote hai aur kya use hota hai

Yaha mai niche kuch sensor bata raha hu jo humare smartphone me lage hote hai  jisse ap sensors ke bare me jankari le sakte hai aur apni knowledge ko badha sakte hai 

Light sensors 

Jaisa iska name hai ye bilkul baise hi kam karta hai jyadatar phones me light  sensor laga hota jisse agar ap din bhar phone use karte hai to ye apke phone me sensor jaruri hona chaiye kyu ki isse apki eye pe bad effect ni padega ye sensor apki aas pas ki light ko control karta hai jaise man lijiye ap sunlight me phone chala rae to apke phone ki brightness automatically increase ho jayegi aur agar ap Rat me phone yani andhere me phone chala rae to apke phone ki jarurat ke hisab se brightness increase ho jayegi ye sensor laghbagh 10000 rupees ke jo phone aate hai ya unse jyada un sabhi phone me laga hota hai


Android phone ki internal memory ko badhaye

Accelerometer sensor

Ye sensor sabhi smartphone me hota hai is sensor ka main work Rotation aur motion ka hota hai hai apne dekha hoga sabhi phone me ek option hota hi screen rotation ka agar hum usko enable kar de to agar phone ko hum vertically pakde hai to screen vertical ho jayegi aur agar horizontal pakde hai to screen horizontally ho jayegi aur apne kuch game khele honge phones me jaise Dangerous Riding usme agar hum bike ko jidhar motion karte hai bo baha ho jati hai is sensor ka work gaming me bhi aata hai 

Promixity sensor 

Ye sensor bhi jyadatar phone me laga hua hota is sensor ka work hota hai kisi bi physical contact ke bina aaspas ke object ki presence ko detect karta hai jaise apke screen ke aaspas koi chij rakhi hai to uspe nazar rakhta hai jaise ap logo ne dekha hoga Agar hum android phone pe call aa rai hai aur humne usko receive karke jaise hi ear ke pas le Gaye screen ki light apne ap off ho jati hai aur phone lock ho jata hai aur jaise hi apne phone ko ear ke pas se hataya phone ki screen light automatic on ho jati hai is sensor ka yahi work hota aur ye phone ke front camera ke aaspas laga hota hai jisse screen ki aaspas chijo ko control rakhne me madad karta hai ' ye post ap Alltechnhindi.com par padh rae hai '

Magnetometer sensor 

Ye sensor aj kal ke  sabhi Android phone me aata hai ye sensor bilkul compass ki tarah work karta hai iska work hota hai aas pas ki location ko janna jo phone me GPS laga hota hai bo isi sensor ki madad se work karta hai apne dekha hoga Agar ap kahi ghumne ja rae hai to apne goggle map me apni city ka name dal di aur to jha tak ap ja rae hai puri location dikhegi agar ap sai raste pe ja rae hai to sai dikhega agar galat raste me ja rae to wrong way dikhayega  yani ye sensor hum logo ke liye bhut use full hai

Gryoscope sensor

Ye sensor bhi aj kal ke sabhi android phone me aata haI ye sensor accelerometer ka advanced version hai isko G sensor bhi bolte hai ye sensor humari rotation aur motion par work karta hai iska use camera me bhi hota hai Agar ap ek sath pure room ki photo capture karna chate hai to bo bhi kar kar sakte hai har phone ke camere me ek feature hota hai ponarama  jiski madad se hum 360 degree ke angle se photo le sakte hai yani room ke upar niche left right har jagah ki picture ek hi bar me capture kar sakte hai aur is sensor ka work gaming me bhi hota hai ' ye post alltechnhindi.com par pad rae hai '  Agar ap koi game khel rae left right jidhar Chao rotation ke hisab se move ho jata hai is sensor ka work gaming me bhi aata hai

Barometer sensor 

Ye sensor kuch hi phone me hota hai ye sensor jyadatar mehenge phones ne hi aata hai iska work hota hai environment ki Air pressure ko mapta hai samudra ki sea level mapta hai Agar ap kisi mountain pe khade hai to ap is sensor ki madad se pata kar sakte hai ki ap kitni height pe khade hai 
Ye sab jankari deta hai aur agar ye sensor apke phone me hai to Apke phone ka GPS aur ache se work karega isliye ye sensor bhi humare phone me hona jaruri hai

Kisi bhi android phone ko lolipop version banaye

Air humidity sensor

Jaisa iska name hai air humidity ye bilkul baise hi work karta hai humidity ka matlab hota hai hava is sensor ka work hota hai apke aaspas ka weather (mausam)  batana agar apke aaspas ka weather kharab hone bala hai to apko upar notification me warning dikhayega jisse ap kahi safe mode me yani safe jagah par chale jaye ye sensor kuch hi phone me hota hai jyadatar ye mehenge phones me ho aata hai

Pedometer sensor 

Ye sensor bhi apko bhut kam phones me milega kyu ki ye sensor mehenge phones ke liye hi bana hai hai is sensor ka work hota hai humare foot ko mapta hai yani ap 1 din me kitne kadam chale hai usko jankari deta hai ye sensor bhi Accelerometer meter ki tarah hi baki kam bhi iske accelerometer meter ke jaise hi hai 

Thermometer sensor 

Ye sensor bhi apko sabhi phones me dekhne ko milega ye sensor bhi bilkul baise ho work karega hai jaisa iska name hai ye sensor humare phone ke internally parts ke bare me jankari deta hai jaise humare phone ka processor kitna heat ho rha hai Phone ki screen kitni heat ho rai hai uski sab jankari deta hai aur ye external ko mapne ke liye bhi hota hai jisse apke atmosphere ka temperature batane me madad karta hai

Fingerprint sensor 

Is sensor ka name to ap logo ne suna hi hoga ki ye kitna popular hai pehle je jo phones aate the usme ye sensor ni hota tha lakin ap jo high quality ke phone aate hai unme ye sensor lage hote hai jaise Samsung galaxy S4, S5, S6,Apple 6S ,5S etc. Is sensor se ap apne phone ki high security badha sakte hai jisse apka phone hacker logo ke alawa koi ni khol payega ye sensor apki finger print ko scan karke lock kar leta hai fir agar apka koi aur banda phone kholega to ni khulega kyu apki finger print aur uski finger print match ni karegi so ye sensor humare liye bhut useful hai




Aj is post ke jariye apko smartphone ke sare sensor ki jankari mil gyi hogi jisse agar ap koi new phone lene jaye to ap uske sensor ke vare me achi knowledge ko hogi aur agar humara ye post pasand aya hai to isko share karna na bhule  


Hi Friends My name is Aryan Shukla,I am Indian blogger This is my website and this website is globally available to everyone i love internet, computer,android tips and tricks and this website is giving many tutorials in hindi language

l

1 comment:

Best Article in this site

Business Enquiries Or Collab

Contact us. : Alltechnhindi@gmail.com

Insta. : Rider_aryan55

Search This Blog

Advertisement

AdSense add