19 Jul 2016

Ek phone se dusre phone me mobile balance transfer kaise kare

Dosto ap sabhi log jante hi honge ki hum ek phone yani Sim ka balance dusre phone me yani dusri sim me transefer ni kar sakte aj hum apko is post me ye batayenge ki ek sim se dusri me Talktime share kaise kare yani ek mobile se dusre mobile balance share or transfer kaise kare Agar kabhi kabhi humare mobile me balance ni hota fir yad aata agar hum kisi aur ke Mobile se balance transfer katr sakte to kitna bhadiya rehta aj apko is post ke dwara pata chal jayega ki hum ek mobile se dusre mobile me balance transfer kaise kkare aur isme apko koi application bhi download ni karna padega ye sirf ek manually tarike se ap kar sakte aur iski sabse achi bat to yeh hai ki ye har phone me work karegi yani ap koi sa bhi phone le lo chaye bo Nokia 1100 ho ya Android ye trick har phone me work karegi ab jante hai kaise ek mobile se dusre mobile me balance transfer karte hai jaise Airtel to Airtel,  docomo to docomo BSNL to BSNL, Vodafone to Vodafone,  Aircel to Aircel etc.  Sabse pehle jante hai Airtel mobile se dusre Airtel mobile me balance transfer kaise kare


How to balance  transfer first  Mobile to another mobile 


Yha mai apko USSD code dwara balance transfer ki jankari de raha hu niche ke steps ko dhayan padhkar follow kare :

Airtel se dusre Airtel me balance transfer kaise kare 

Yha hum apko Airtel ki balance transfer ke bare me bata rae uske liye niche ki steps dhyan se padhkarfollow kare :

1).  Sabse pehle ap dial kijiye *141# ek screen khul kar ayegi niche image me dekh sakte 



Ab yha kch option ayenge is tarah se

1. Share talktime
2. Adv Internet
3. Take Adv Internet / ask talktime
4. Auto credit
5 Gift pack

Isme se apko 1 share Internet option choose karna hai uske liye ap
Niche box me 1 Enter kariye aur send par tap kariye

Ab apko jitna bhi Balance transfer karna utna utna balance add kariye
Uske bad apko jis Airtel number par transfer karna vo number Enter kare aur send par tap kare
Thodi hi der me apka balance transfer ho jayega

Tata Docomo se dusre Tata docomo number me balance kaise transfer kare 



Tata docomo me balance transfer karne ke liye apko ek Sms send karna hoga niche dhyan se padhe : 

Step 1). Sabse pehle ap message box open kariye aur waha ye type kare

BT<space>mobile number

Aur 54321 par send kar de

Agar upar samaj na aya ho to niche image dekhe



Is method se apke ek bar me 5 Rupees transfer ho jayenge

Note : yha apko balance transfer karne par kuch charge ( Rs. 1 to 3 ) bhi kat sakta hai


BSNL se dusre BSNL number par balance kaise transfer kare

BSNL me balance transfer karne ke sabse pehle ap apne phone ka message box open kare

Step1). Message box open kare uske bad ye message type kare

Gift<space><mobilenumber ><space><amount>


Uske bad 53733 par send kar de

Agar upar samaj me na aye to niche ki image dekhe

Aircel se dusre Aircel me balance kaise transfer kare 

Aircel me balance transfer karne ke liye ap ye Step follow kare : 

Step 1). Sabse pehle mobile ka dialer pad open kijiye aur ye dial kijiye

       * 122*666

Aur jaisa apse bataya jaye ap thik baise follow kare balance transfer ho jayega


Vodafone se dusre Vodafone number number me balance kaise transfer kare 

Vodafone me balance transfer karne ke liye ye method apply kare : 

Step 1). Sabse pehle apne mobile ka daily pad open kijiye aur waha ye type kare

     *131*<amount>*mobile number >#

Aur dial kar de


Agar upar samaj me na aye to niche image me dekh le


Note :  yha sirf ap 5 rupay se 30 rupay tak ek din me balance transfer kar sakte aur ye ek din same number  par ek bar hi hoga
True Balance se paise kaise kamaye click here

Reliance se dusre Reliance number par balance transfer kaise kare 

Reliance GSM number par balance transfer karne ke liye ye method apply kare : 

Step*). Sabse pehle dial pad open kare aur waha ye dial kare 

*367*3#

Iske bad ek screen khulegi waha mobile number Enter kare , Amount enter kare aur PIN no. Ki jagah 1 Enter kare 

Note : yaha agar kisi phone me ye code  *367*3# work na kare to ye code dial kijiye *312*3# 

Telenor se dusre Telenor number par balance kaise transfer kare 

Telenor ka pehla name Uninor hai Uninor  me balance share karne ke liye ye Step follow kare : 

Step 1). Sabse pehle mobile ka Dial pad open kare aur ye code dial kare

    *202*mobilenumber*amount#

Aur dial kar de 

Note : yaha ap ek din me 50 rupay tak ka balance transfer kar sakte.


Idea mobile se dusre Idea mobile number par balance  transfer kaise kare 


Idea me balance transfer karne ke liye ye method follow kare : 

Step1). Sabse pehle ap apne mobile ka message box open kare aur ye type kare 
   GIVE <Space><mobile number ><space><amount>  

Aur 55567 par send kar de Agar samaj me na aya ho to niche image dekhe 

Note : idea me balance transfer karne ke liye apka phone number 3 months old hona chaiye yani 90 din purana aur ye method ap ek din me 3 bar hi apply kar sakte ho aur yaha ap sirf 5 Rupees se 50 rupees tak balance transfer kar sakte 



Aj humne apko bataya hai kisi bhi mobile se dusre mobile me balance kaise transfer karte hai ab apko kafi ache se samaj me aa gya hoga baise muje bhi ye post likhne me bhut time laga I hope apko ye post jarur pasand ayi hogi agar ap mere liye kuch bhi karna chate hai to sirf ap ye social media peye post share kare aur humari site Alltechnhindi.com par bhut si Useful post hai unhe bhi padhkar jaiye 

Thank you have a nice day 


Hi Friends My name is Aryan Shukla,I am Indian blogger This is my website and this website is globally available to everyone i love internet, computer,android tips and tricks and this website is giving many tutorials in hindi language

l

2 comments:

  1. Ek Asche Blogger Ki Pahechan.Kise Kare Janne ke Liye ise Link Pe Click Kare. http://www.suryaadvertizement.com/2016/07/ek-asche-blogger-ki-pahechan_28.html

    ReplyDelete
  2. mire me nahe ho raha h relince

    ReplyDelete

Best Article in this site

Business Enquiries Or Collab

Contact us. : Alltechnhindi@gmail.com

Insta. : Rider_aryan55

Search This Blog

Advertisement

AdSense add