Ap welcome screen ka matlab to jante hi honge ki kya hoti hai aj hum isi ke bare me batayenge ki kaise apni welcome screen ko kaise change kare kisi bhi android phone ki welcome screen ka matlab hota hai jab ap apna phone Restart karte hai yani jab phone ko switch off karke usko dubara open karte hai tab ek screen show hoti hai usko welcome screen kehte hai baise isko booting screen bhi kaha jata hai Agar ap apne android ki original booting screen ko dekh dekh ke bor ho gye ho aur apko agar change karni hai bahi screen to aj ap is post ko follow karke apni kisi bhi android phone ki booting screen ko change kar sakte hai yaha mai apko bhut hi simple tarika bataunga jisse ap aasani se Booting screen yani welcome screen ko change kar sakte hai
Ye bhi padhe :
Welcome screen ko change karne ke liye hume kin kin chijo ki jarurat padegi
Sabse pehle hume ye bat bhi jan lena chaiye hume android phone ki welcome screen change karne ke liye kya kya chaiye mai apko batata hu Yaha mai apko bhut Easy method bataunga jisse ap aur hum badi aasani se welcome screen ko change kar sakte hai Ab mai batata hu apko kin kin chijo ki jarurat hai isme
1). Sabse pehle apka jo android phone jiski ap welcome screen change karna chate hai bo phone root hona chaiye agar ni hai to ap apne phone ko Root kar le pehle
Android phone ko root kaise kare
Android phone ko root kaise kare
2). Internet connection ( har kisi ke phone me hota bas apna Mobile data on kar lena )
3). Boot animations ( ye ek application download karna hoga jo ki playstore pe free me available hai ap usko playstore se download kar sakte hai )
Note : Agar apka Android phone root ni hai to usko sabse pehle root kar le iske liye mai do post kar chuka hu already ap un dono post ko sai se follow kare Agar koi ek method work na kare to dusre method ko try kare Agar tabbhi work na kare to meri advice ye hai ap computer bale method ka priyog kare jo har phone ko root kar dega jo maine is post me bataya hai Read this post
Agar apke pas computer ni hai to kisi pas me cybercafe me jake ap us method ko waha jakar follow kare
Welcome Screen (Booting screen) kaise change kare
To chaliye ab hum apko batate hai kaise change kare Android phone ki welcome screen ko uske liye niche ki steps ko dhayan se padkar follow kare :
Step 1). Sabse pehle Apko ek mobile application download karna padega uska name hai Boot Animations isko niche di hui link se download kar sakte hai
Step 2). Ab ap Boot animations ko apne phone me Install kariye Install karne ke bad isko open karna jaise hi ap isko open karenge ek esi display show hogi
Step 3). Ap yaha ap apni pasand ki animation choose kar lijiye jo bhi apko acha lage fir ap usi par tap karna fir apko root permission mangega simply usko allow kar dena
Step 4). Ab apko us animations ke bare me full details milegi aur ek option aur hoga install karna simply is par click kar dijiye ab install hone me kuch time lagega thodi der me apki boot animation install ho jayegi bas apka kam ho gya
Now Apki booting screen change ho gyi hogi ab ap apna phone Switch off karke dubara open kare ap apki new boot animation yani new welcome screen set ho gyi hogi
Agar apne ye pura post dhayan se padkar follow kiya hoga I hope apne apne phone ki welcome screen ko change kar liya hoha agar apko aur bhi isi tarah ki new updates chaiye to ap humara facebook page jarur like kare Agar apko abhi bhi koi dikkat ho rai ho to mujse comment ke through puch sakte hai aur ap ye post jarur social media par share kare

If you used English it'd been better. I don't understand a thing :(
ReplyDeleteHua nhi Kuch ...sab Kuch kra
ReplyDeleteAndroid Ki Booting Screen (welcome Screen) ho gya
ReplyDeletepr mujhe htana hai
kaise htau plzzz btao mujhe bhai