21 Jul 2016

Android phone me notification menu ka color kaise change kare

Aj ke Is post ke through apko hum android phone ke notification menu  ka color kaise change karte ye batayenge ap sab log jante hi honge notification menu bar kya hota hai Agar ni jante to maI apko batata hu ap sabhi logo ke phone me sabse upar ek menu bar hota hai jisme kuch is tarah ke option hote hai wifi , Location, Screen rotation,  Bluetooth, mobile data etc usi ko hum Notification menu bar kehte hai aj is post ke jariye apko pata lag jayega ki hum usko kaise customize kare yani hum usko jaisa banana chaye bilkul baisa bana sakte hai bo bhi kuch minutes me ap Notification menu bar ka color change kar sakte hai jo bhi ap apne pasand ka color use karna Chao bo bhi kar sakte ap notification menu bar ka View bhi change kar sakte hai apne dekha hoga jitne bhi Samsung companies ke phone hote unme alag tarike ka Notification menu bar hota aur Lava , micromax etc. Companies me kuch aur style me notification menu bar show hota hai Agar ap Samsung ke phone me Lava company ke phone ka notification menu bar set karna chate hai to bo bhi kar sakte hai  Ab chaliye jante hai ye sab kaise kare


Notification menu bar ka color change karne ke liye kin kin chijo ki jarurat padegi 

Isme hume jyada kisi chij ki jarurat ni padegi bas ek Mobile application se hi kam ho jayega jo ki ap playstore se free me download kar sakte hai Mai apko yha niche link de raha hu ap waha se download kar sakte hai aur isme ye bhut achi bat hai ki ye trick har android phone me work karegi yani ye hum unrooted phones me bhi use kar sakte hai jisse hume apna koi phone root ni karna padega to chaliye ab ye bhi jan lete isko kaise use kare 


How to change Notification Menu color 

Ye bhut easy method hai ap isko aasani se kar sakte hai :



Step 1). Sabse pehle ap Ek application download karI ye iska name hai color status bar is application ko niche di hui link se download kar sakte 
Step 2). Ap ap Color status bar ko Apne phone me install kariye aur install karne ke bad open kare 

Step 3). Isko open karenge to ek esi screen khul kar ayegi



Yaha apko enable status bar par tap karke isko enable kar dijiye
Jaise hi ap is par click karenge turant ap mobile ki setting me pahuch jayenge what par isko enable kar dena bas apka notification enable ho jayega



Step 4) ap ek upar option hoga theme ka upar ki image me dekh snakte hai us option par click kar ke ap apne pasand ki notification menu laga sakte hai usme ap apni image bhi edit karke laga sakte color bhi change kar sakte aur bhi bhut kuch kar sakte

Isey bhi padhe : 



Ab apne Sikh liya hai ki hum kaise kisi bhi phone ke notification menu bar ka color kaise change kre



Agar apko abhi bhi koi doubt ya koi bhi problem aa rai hai to ap mujse comment ke dwara puch sakte hai
Agar ap meri bhi kuch help karna chate to mai bas apse itna hi kahunga please is post khub share kariye muje bs isi me khusi hogi baise humari site Alltechnhindi.com aur bhi helpful post hai unhe bhi padhiye

Thank you friends have a nice day 

Hi Friends My name is Aryan Shukla,I am Indian blogger This is my website and this website is globally available to everyone i love internet, computer,android tips and tricks and this website is giving many tutorials in hindi language

l

0 Comments:

Post a Comment

Best Article in this site

Business Enquiries Or Collab

Contact us. : Alltechnhindi@gmail.com

Insta. : Rider_aryan55

Search This Blog

Advertisement

AdSense add