24 Jul 2016

Android phone ko Format kaise kare yani HardReset kaise kare.

Kabhi Kabhi jab humara android phone bhut hang hone lagta hai tab Phone chalane ka man bhi ni karta agar hum usi time apne phone ko Reset kar dete hai jisse phone ka sara data delete ho jata aur humara phone ek dam naya ho jata hai aj hum is article me apko batayenge ki android ko hard reset kaise kare jisse agar apka sara data delete ho jeyega aur phone bhut smoothly run karega hum apne phone ko do tarah se reset kar kar sakte hai ek simple Reset aur dusra hard reset aj hum apko ye dono tarike bataynge ki simple reset aur hard reset kaise kare lakin humare liye ye bat bhi janna bhut jaruri hai ki simple phone reset aur hard phone reset in dono me kya Difference hai to chaliye jante hai kya hai Simple phone reset aur hard phone reset

Simple phone Reset aur Hard phone Reset me kya antar hai


Ap sabhi log Reset ka matlab to jante hi honge ki ye kya hota hai agar ni jante to mai apko batata hu Reset ka matlab hota kisi bhi chij ko Format karna yani usko delete karna jab kisi Android phone ko format karna hota hai to usey Reset kahete hai  aur simple Reset aur Hard reset me sirf itna hi antar hai Simple Reset sirf phone ka sara data delete karta hai aur ye virus ko delete ni kar pata aur bhi jo apps mobile ke liye khatarnak ban jate bo bhi isse delete ni ho pate jisse phone fir vaise ka vaisa hi rehta aur hard Reset ka matlab hota hai phone sara data delete kar de jitne bhi virus aur jitne bhi mobile ko crash karne bali files sab iske andar aata hai aur ye kuch hi seconds me remove kar deta hai jisse phone ek dam new ho jata aur phone bhut smoothly chalne lagta hai


Hard Reset karne ke fayde

Hard reset karne bhut se fayde hote hai yaha mai kuch fayde apko bata raha hu 

*.  Isme sabse acha fayda to apka ye hoga ki suppose apke phone me PIN lock , password lock , Pattern lock etc. Jaise bhi type ka lock laga hai apke phone me aur ap agar bhul gye yani apne Android mobile me pattern lock laga diya aur ap uska pattern bhul gye fir bhi ap usko khol sakte hai phone hard reset karke 

*. Aur agar apke phone me koi application virus ban ke aa gya ya koi galti se apse galat file download ho gyi aur bo delete hi ni ho rai aur na hi application uninstall ho raha bo bhi ap Hard Reset se sab remove ho jayega 

*. Agar apka android phone bahut hang ho raha hai iska matlab seedha hai ya to apke phone me data bhut jyada hai aur apke phone me kai virus aa chuke hai jisse apka phone crash bhi ho sakta agar ap hard reset karte hai to apka Android phone bilkul nya jaisa ho jayega aur apka phone kuch hafto tak Hang bhi ni hoga 

Ab ap samaj hi gye honge ki Reset karne se kitne fayde hai ab hume ye bhi jan lena chaiYe ye sab kaise karte hai

Android phone ko Simple  Reset kaise karte hai

Apko bata du ye bahut easy hai karna iske liye jyadatar log is method ko jante hi honge fir bhi mai apko batata hu 

Sabse pehle ap apne android phone ki setting me jaiye fir ek option hoga  'Backup and Reset ' simple us par click kar dijiye fir ek option ayega ' factory data Reset ' us par click kariye fir ek option aur ayega " Reset " bas ispe click kar dena jaise hi click karenge turant sab data clear ho jayega aur apka phone kuch hi second me reset ho jayega


Ab ye to hui simple Reset ki bat jo ek aaminsaan bhi kar leta lakin jyadatar log Hard Reset ni kar pate chaliye aaiye jante hai kaise karte hai Android phone ko hard Reset.

Must Read :


Smartphone ( Android ) ko Hard Reset kaise kare 

Ye kam thoda risky hai isliye niche ki steps ko dhyan se padhe : 

Note : yaha mai pehle bata de raha hu apne phone ko reset karne se pehle Apni Sim cards aur memory card alag nikal kar rakh le ho sakta hai apka Memory card aur sim card dono ka hi data delete ho sakta hai 

Samsung companies ke Android phone ko hard Reset kaise kare 


Niche di hui sari steps ko dhyan se padhkar follow kare:

Step 1). Sabse pehle ap Recovery mode ka option nikaliye uske liye  sabse pehle ye kariye

Volume down button , home button ,  Power button In tino button ko ek sath dabaye rahiye kam se kam Ek minute tak jaise hi Recovery mode ka option nikal aye turant chod dijiye


Step 2). Fir ek esi screen khul kar ayegi upar image me dekh sakte hai yaha apko ' wipe data /factory Reset '  aur iske bad ek aur screen khulegi usme ' clear all data '  is option par enter kariye bas apka kuch hi second lega apka pura Phone Reset ho jayega Ab ap apna Phone Reboot kar le

● Kisi ka bhi whatsapp hack kaise kare

Note : yaha volume down button ka matlab hai jisse ap phone ki volume kam karte hai bo aur home button jo phone ke bich me hoti hai aur power button ka matlab jisse phone switch off aur Switch on karte hai in tino ko ek sath dabana hai jab tak Recovery mode ka option ni nikal aata
Agar abhi bhi ni samaj me ni aya to niche Image me dekh ke samaj lijiye

Micromax , Lava etc. Companies ke Android phone ko hard Reset kaise kare

Mai apko bata du isme bhi same process hoti hai bas  in phones me home button ni hoti yani screen ke bich bali button ni hoti isliye in companies ke phones me Recovery mode ka option ni nikal pate lakin hum yaha ek aur method batayenge jisse aasani se Recovery mode ka option nikal sakte hai

Step 1). Sabse pehle ap apna phone switch off kare 

Step 2). Ab power button ko dabaye rahiye aur Volume Up button + volume down button in dono ko dabate rahiye 
( yaha par apko power button ko daba ke rakhna aur volume Up button aur Volume down button in dono ko press karte rehena hai tab tak jab tak Recovery mode ka option ni nikal aata ) 



Step 3). Thodi der bad Recovery mode ka option nikal ayega isme bhi apko upar ki tarah same process karni hai 

Step 4). Wipe data factory is option ko select kariye fir ek option aur ayega clear all data isko select karna hai bas apka phone kuch hi second me Reset ho jayega

Uske bad Android phone Reboot kar le 

 Note : Recovery mode me apke phone ka touch kam ni karega isliye ap volume button ko daba ke upar niche option select kar sakte hai aur yaha power button ko baba ke enter kar sakte

Aj humne Apko bataya ki kaise hum Apne android phone ko hardReset kare agar ap kuch bhi aj ap sikhe hai to please is post ko share karna na bhule Apko ek post ko share karne se koi fark ni padega lakin meri bahut help ho jayegi pls isko share jarur kariye
Agar apko abhi bhi koi dikkat aa rai to ap humse comment ke dwara puch sakte hai  Alltechnhindi.com par aur bhi useful post hai unhe bhi Read kariye

Thank you All my Readers have

Hi Friends My name is Aryan Shukla,I am Indian blogger This is my website and this website is globally available to everyone i love internet, computer,android tips and tricks and this website is giving many tutorials in hindi language

l

Best Article in this site

Business Enquiries Or Collab

Contact us. : Alltechnhindi@gmail.com

Insta. : Rider_aryan55

Search This Blog

Advertisement

AdSense add