5 Jun 2016

Blog ki template change kaise kare Android phone se

Hello All my readers Kaise hai ap sab I hope mere sare readers thik hi honge aj mai apko ye bataunga ki apne blog ka look kaise change kare yani ki blog ki template change kaise kare bhut se logo ko dekha jo new blogger hote hai bo blog to bana lete hai lakin usko manage ni kar pate is wajah se bo blogging chod dete hai Mai aj un sabhi new blogger se kahunga agar ap blogging karna chate hai to pura man aur vishwaas se kare aur isse ap ek na ek din success jarur ho jaoge ab hum apne řsidhe aj ke is article par aate hai sabse pehle apko ye Janna bhut jaruri hai ki ye template hota kya hai

Template kya hai



Agar apko koi website ya blog hoga to zarur apko pata hoga ki ye template kya chij hoti hai fir bhi mai batata hu jab hum apna blog banate hai ( blog aur ywebsite dono ek hi chij hoti hai) to sabse pehle hum usme ek achi si template lagate hai jisse humari website ka design acha lagne lagta hai aur jab design acha hoga tabhi humare visitors humari site ko pasand karenge aur jab visitor badhenge to traffic bhi bhut acha ayega site pe yani simple bhasa me kahe to ap apne mobile me koi theme download karte hai usi ko blogging word me template kehte hai ab ap samaj hi gye honge ki ye template kya chij hai ' ye post ap Alltechnhindi.com par padh rae hai '
Mai yaha apko kuch esi website bataunga Jinse ap apne blog ke liye achi achi template download kar sakte hai

Blog template  Top 5 website 

Yaha mai kuch blogger templates download karne ke liye website bata raha hu ap niche link par click kar ke in sites par ja sakte hai 

1. Sora templates

Ye bhut achi site hai template download karne ke liye is site par achi se achi templates hai aur us site par free template ke sath sath paid templates bhi hai ap is site par jakar dekh sakte hai
Is website par Jane ke liye Yha click kare

2. Gooyaabi templates

Ye site bhi bhut achi hai ye bilkul sora template jaise site hai is website par apko sari SEO ready template milegi is site ki template me apko bhut ache ache widget milenge jaise side bar, ads ready, contact form, translate, drop down, categories etc.
Is website par Jane ke liye Yha click kare

3. New blogger themes

Is site par apko totally new templates aur fast loading templates milegi aur isme bhi kafi ache ache template me widget diye gye hai ap is site par jake dekh sakte hai 
Is website par Jane ke liye Yha click kare

4.Design scrazed

Is site par bhut achi design bali balo template milegi agar full design bali template chate hai bo bhi apko is site par mil sakti hai aur sabse achi bat to ye yha apko sari templates SEO ready aur responsive template milegi is site par jakar dekh sakte hai
Is website par Jane ke liyeYha click kare 

5.Best blogger templates 

Jaisa iska nam thik vaise hi apko is site par templates milegi yha apko fastloading aur SEO ready template bhi milegi yha apko template me bhut ache ache widget bi mil jayenge Agar ap koi paid templates kharidna chate bo bhi apko yha mil sakti
Is website par Jane ke liye Yha click kare

Ab yha apko top 5 website  blogger ki template download karne ki bata di hai ab ap ye bhi jan lijiye ab hum isko apne blog me kaise upload karte hai

Blog ki template kaise upload kare

Niche ke steps ko dhayan se padkar follow kare : 

Note : Mai yha apko pehle bta de raha hu ap jo bhi template download karenge bo ek Zip file me hogi aur blogger me upload karne ke liye apko XML file upload karni padegi ap jo bhi template upload karenge uski zip file ko open karke usme se xml file kahi aur copy kar le

Step 1). Sabse pehle blog ke dashboard me jaye aur jaha template ka option hai waha click kare 

Step 2). Ab ap jaise hi template ke option par click karenge uske bad ek esi screen khul kar ayegi jaha upar side me ek option hoga backup/restore yha par ap click kariye

Step 3). Fir ek esi screen khul kar ayegi Yha ap sabse pehle jaha download full template likha yaha click kariye apko template ka backup download hone lagega jisse new template upload karte waqt koi problem ayi to ap vapas apni old template upload kar sakte

Step 4). Template ka backup download karne ke bad jha choose file likha hai yha click kariye aur template ki xml file choose kariye aur upload par click kar dijiye

True Balance se paise kaise kamaye



Maine yha mobile se template upload ki hai Agar apke pas P.c ni hai to ap mobile se bhi template upload kar sakte hai ab ap aj ke is post me gye hai ki template kaise upload karte hai Agar apko abhi bhi koi dikkat aa rai ho to ap mujse comment karke puch sakte hai aur humari ye post jarur share kare jisse humare aur nye logo ki bhi help ho sake 

Hi Friends My name is Aryan Shukla,I am Indian blogger This is my website and this website is globally available to everyone i love internet, computer,android tips and tricks and this website is giving many tutorials in hindi language

l

3 comments:

  1. Sir mene template download ki phr use.xml m change kiya pr wo upload nhi ho pa rhih plzzz reply kre

    ReplyDelete
  2. Ap kon sa browser use kr rae ho ye procees ap chrome aur puffin mobile browser me try kariye

    ReplyDelete
  3. Aapne bahot achi jankari share ki hai thanks 'makvanainfo' par ek hindi success bloggers ki list banI he jaha aap bhi aapki website details add kar sakte hai. Add karne ke liye humara contact kare.

    ReplyDelete

Best Article in this site

Business Enquiries Or Collab

Contact us. : Alltechnhindi@gmail.com

Insta. : Rider_aryan55

Search This Blog

Advertisement

AdSense add